Wednesday, 13 November 2013

After winning it in KARUKRIT-2012, once again a prize in KALAKRITI-2013 for writing 'URDU POETRY & SHORT STORIES in ENLISH LANGUAGE' at ITME.


 Kabhi ishque mein bhi tabah ho k to dekho
  Rang ulfat ka bhi charha k to dekho
  Fir yun mar-mar k jeene ka kya faida
  Yun rang na charhega,kabhi baat barha k to dekho
   .
  Kyon kar na tu is tarah farefta ho
  Kyon kar na zindagi yun aarasta ho
  Baaz kaanton se kya shikayat
  Gar dosti phoolon se karni ho
  .
  Aaj husn wa ishque se murad kuchh aur hain
  Jo ho gaye barbaad,unke baat kuchh aur hain
  Baaz kisi k ulfat pay naaz kisko ZIYA
  Aaj ishque karne k andaaz kuchh aur hain
.....................................by ZIYA AFROZ, copyrights reserved

1 comment: